India paise kaise bheje: videsh se bharat transfers ke tarike

Aditya Shrivastava

India ke log puri duniya main failey hue hain, and aksar apne India mein family aur friends ko videsh se paise bhejte hain. Aaiye dekhte hain ki videsh se India paise bhejne ke liye kaunse tareeke hain, aur kaise Wise aap ki help kar sakta hai.

📝 Videsh se India paise bhejne ke tareeke

Videsh se India cash bhejna

Indian ke residents international flight mein apne saath INR 25,000 tak cash laa sakte hain. NRI ya foreign log USD 5,000 tak cash bina declare kiye laa sakte hain. Usse zyada cash laane par India ke airport mein custom officers ko ye cash kahan se aayi, kyon aayi, vagaira saaf-saaf batana hoga ki. Iski poori information CBIC ki website par "Guide for Travellers" mein batayi gaye hai.

Videsh se lifafe mein cash dal kar courier bilkul na karen: international mail se India mein cash bhejna illegal hai! Agar India mein cash hi chahiye hai, to aisi service se bhejen jinke India mein cash pickup centers hai. Uske liye ye kucch popular options hain:

Western Union aur MoneyGram ke cash transfer ko India mein post office se bhi pickup kar sakte hain.

Bank se international transfer karna

Direct foreign bank se India bank paise bhejna sabse common tarika hai, par ismen generally fees sabse jyada lagti hai. Bank se India paise bhejne ke liye aapko apne foreign bank se International Wire Transfer karwana padega. Isko karne se pehle, jinko bhej rahe hain unki poori details mangva len:

  • poora naam, waisa hi jaisa unke bank account par hai
  • address, ye bhi wahi jaisa bank account par hai
  • unka phone number aur email
  • bank ka poora account number
  • bank ka Swift Code number

India wale receiving bank se ye zaroor punchhe ki international remittance ke liye koi special instructions hain ya nahi, aur ye baat apne foreign wale sending bank ko batani hogi. Iske sasth bank ki fees aur exchange rate ka bhi pata lage len, kyun ki wire transfer ki fees generally bhari hoti hai.

Money transfer agencies

Aajkal international transfer karne ke liye ''exchange house' ke naam se kayi services aa gaye hain jinse aap India paise bhej sakte hain. Par kisi bhi service ko use karne se pehle in baaton ka dhyan rakhen:

  • Paison ke maamle mein hamesha legal aur reputed service use karen. Paise bachane ke liye fraud ya illegal services ke chakkar mein na paden, nahi to aap ke paise chori hone ya anjaane mein aapse crime hone ka khatra hai. "Hawala" ke agents se khaaskar savdhaan rahen — hawala transfer India mein illegal hai.
  • Kisi bhi service ko use karne se pehle uski fees ka poori tarah pata kar lein. Unse saaf-saaf puchen ki paise bhejne ke baad paane wale ke account mein kitna amount jama hoga, taaki wo aapse koi fees chhupa na paaye.
  • Fees ke saath exchange rate ka bhi pata karen ki foreign currency ko Indian Rupees men kis rate mein convert kiya jaayega. Sahi rate aap Google par search kar sakte hain, par kai log is exchange rate mein bhi apni fees ghusa dete hain.

Online transfer services

Online transfer services ek aur tareeka hai jisse aap ghar baithe videsh se India paise bhej sakte hain. In mein se ek aisi company hai: Wise.

Wise ka mission hai International money transfer ko easy, fast, convenient, aur transparent banana. Wise ki app ya website se aap online hi videsh se Indian bank account ya UPI par paise bhej sakte hain.

Wise ek multi-national company hai aur isse transfer karna bilkul safe hai. Paise bhejne ke pehle aapko transfer ki fees saaf-saaf batai jaati hai aur foreign currency ko Indian rupees mein hamesha mid-market rate par exchange kiya jata hai.

Wise se India paise bhejen 👉

International transfer karne ki fees:

Har service ki apni alag fees hoti hai, aur paise kis tarah se kis desh se bhej rahe hain, par depend karti hai. Jab aap fees ko ek-dusre se compare kerenge to currency exchange rate par zaroor dhyan dijiye.

Currency exchange rate ki hidden cost:

Jab bhi kisi currency ko doosri currency mein convert kiya jaata hai, to us rate ko currency exchange rate kehte hain. Ye rate aage-pichhe hota rehta hai, aur aaj ka sahi rate Google par dikh jata hai. Par banks aur jyadatar money transfer services aapko ye rate nahi dengi. Ye log markup laga kar apna alag hi rate batate hain jisme apni fees chhupa dete hain.

Par Wise mein aisa nahi hota hai. Wise mein foreign currency ko hamesha Google wale mid-market rate par exchange kiya jaata hai - aur transfer ki fees alag se saaf-saaf batai jaati hai. India mein transfer karne wali popular service ki fees ko compare karen👉


Wise multi-currency account

Wise mei money transfer ke alava aur bhi interesting features hain. Agar aap India se bahar rehte hain, to Wise ka Multi Currency Account ko check out karen, jo in countries mei supported hai. Isme aap ko ek hi account mein foreign currencies ke balance milte hain, aur iske debit card ko aap dunia bhar mein ek local payment ke jaise use kar sakte hain — kyonki Wise mein currency exchange hamesha mid-market rate par hota hai.

Wise Account

Apna Wise Account Kholen 🚀


Please apne region ke Terms and Conditions ko dekhen aur Wise ki latest fees ko hamare pricing page par check karen.

Cover photo by Charu Chaturvedi on Unsplash.

Ye article keval general information ke liye hai aur isme topic ko har angle se cover nahi kiya hai. Is ka purpose aisi advice dena nahi hai jis par depend ho kar ke aap apna decision len. Yahan likhi hui baton ke basis par koi bhi action karne, ya karne se rokne ke pehle kisi yogya professional ya expert je zaroor consult karen. Is article mein batai gayi information Wise Payment Limited ya unke affiliates ki aur se legal, tax, ya anya professional advice nahi hai. Pichhle results ka matlab yeh nahi hai ki aage bhi waise hi ho. Is article ki information accurate, complete, ya up-to-date hone ki hamari taraf koi representation, warranty ya guarantee, chahe express ya implied, nahi hai.


*Please see terms of use and product availability for your region or visit Wise fees and pricing for the most up to date pricing and fee information.

This publication is provided for general information purposes and does not constitute legal, tax or other professional advice from Wise Payments Limited or its subsidiaries and its affiliates, and it is not intended as a substitute for obtaining advice from a financial advisor or any other professional.

We make no representations, warranties or guarantees, whether expressed or implied, that the content in the publication is accurate, complete or up to date.

Money without borders

Find out more

Tips, news and updates for your location